Woh Jiski Deed Mein, Abida Parveen

 

Woh jiski deed mein laakhoun masarratein pinhaan
Woh husn jiski tamanna mein jannat pinhaan

Hazaar fitney tah-e-paa-e-naaz khaak-e-nasheen
Har eik nigaah khumar-e-shabaab se rangeen

Shabaab jis se takhaiyul pe bijliyaan barsein
Waqaar jiski rafaqat kou shokhiyaan tarsey

Ada-e-laghzisheiy paa par qyamatein qurbaan
Bayaz-e-rukh sey sahar ki sabahatein qurbaan

Siyaah zulfoun mein badaaon sa nikhatoun ka hujoom
Taweel raatoun ki khwabeedah raahatoun ka hujoom

Vo aankh jiski banaun pe khaliq dey raae
Zabaan shair kou tareef kartey sharmaae

Gudaaz jism qaba jispe saj ke naaz karey
Daraaz qad jisey sarw-e-sahi namaz karey

Kisi zamaney mein is rah-guzar sey guzraa thaa
Ba-sad guroor-o-tajammul idhar sey guzraa thaa

Aur ab ye raah guzar bhi hai dilfareb-o-haseen
Hai uski khaak mein kaife sharab-e-sair makeen

Hawa mein shokhi-e-raftaar ki addaen hain
Faza mein narmi-e-guftaar ki sadaen hain

Garaz vo husn is raah ka juzu-e-manzar hai
Neyaaz-e-ishq kou eik sajda gaah maiyassar hai

__._,_.___
Recent Activity:
Regards:
Zahid Fareed
Zaf.zahid@yahoo.com
MARKETPLACE

Stay on top of your group activity without leaving the page you're on - Get the Yahoo! Toolbar now.


Find useful articles and helpful tips on living with Fibromyalgia. Visit the Fibromyalgia Zone today!

.

__,_._,___