garmi-e-hasrat-e-nakam se jal jatay hain
hum chiragon ki tarah sham se jal jatay hain
bach nikaltay hain agar atih-e-sayyad se hum
shola-e-atish-e-gulfam se jal jatay hain
khudnumayee toh nahin shewa-e-arbab-e-wafa
jin ko jalna ho wo aram se jal jatay hain
shama jis aag mein jalti hai numaish k liye
hum ussi aag mein gumnam se jal jatay hain
jab bhi aata hai mera naam tere naam k saath
janay kyun log meray naam se jal jatay hain
rabta baham pe humayn kya na kahengay dushman
ashna jab teray paigam se jal jatay hain
__._,_.___
Regards:
Zahid Fareed
Zaf.zahid@yahoo.com
Zahid Fareed
Zaf.zahid@yahoo.com
.
__,_._,___