Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain So us ke shahar main kuchh din thahr ke dekhtay hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apnay aap ko barbad karkay dekhtay hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki So ham bhi us ki gali se guzar kar dekhtay hain Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojaze apnay hunar ke dekhtay hain Suna hai bole to baton se phool jharatay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhtay hain Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki gazal si aankhain Suna hai us ko hirn dasht bhar ke dekhtay hain Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhtay hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhtay hain Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhtay hain Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhtay hain Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhtay hain Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhtay hain Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main Palang zawaiya us ki kamar ke dekhtay hain Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhtay hain Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhtay hain Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhtay hain Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhtay hain Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain Chalay to us ko zamanay thahar ke dekhtay hain Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhtay hain Khaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi Agar woh khwab hai tabir kar ke dekhtay hain Ab us ke shahar main tharain ki kuch kar jayan Faraz aao sitaray safr ke dekhtay hain |